Sunday 25 December 2011

Anjan …………………………!



Duniya me kai log milte hain,
Kuch dost ban jate hain,
Kuch dushman ban jate hain,
Kuch jivanbhar ka sath  nibhate hai,
Aur kuch chupchap binbataye chale jate hain,
Inme se kuch zahen me rach bas jate hain,
Jinke sath ek mazboot dor bandh jati hai,
Aur jinke rehne se apne astivtva ka ahsas hota hai.

Ek din Mujhe bhi mila tha koi aisa,
Jisse milne ke baad duniya dekhne ka nazariya hi badal gaya,
Jisse baat karke, bechain man shant ho jata,
Jisse baat karke mai apne saare gham bhul jata,
Jisse baat karke ek ajeeb sa sukoon milta,
Jiski baato ki gehriyon se samay guzarne laga,
Jise milkar laga ki bas waqt thamne laga,
Magar aisa nahi hua…
Samay beeta, par is rishtey ko naam nahi de paya,
Usme shayad ek dost, Sabse acha dost dekhne laga,
Aksar man me jhankkar use tatola, par hath kuch na laga,
Shayad kuch rishton ko paribhashit nai kiya ja sakta,
Kuch lamhon ko, ahsason ko bayan nai kiya ja sakta,
Bas yehi galti ho gai, inme mai bhi beh gaya,
Bina kuch soche, samjhe aage badh gaya,
Bas beh gaya…..!
Bas beh gaya…..!

Is galti ko ab wapas nahi le sakta,
Kya karu, is bechain man ko mana bhi nai sakta,
Kuch der ka sukoon, ise apne sath baha le jata hai,
Is man ko darata hu, dhamkata hu par ye nahi manta hai,
Dar lagta hai kahi wo door na chala jaye,
Shayad kuch sawal bejawab se na reh jaye,
Par aaj tak jaan nahi paya hu ki ye kyu hota hai,

Puchta hu apne aap se, ki kya aisa hi hota hai…!
Puchta hu apne aap se, ki kya aisa hi hota hai…!

Ek Talash…………..!



Ek talash khud ki, jo bin bataye kahi dur jaraha hai,
Ek talash man ki, jo har waqt badhawas sa rehta hai,
Ek talash us sisktey soz ki, jo apne man ki karna chahta hai,
Ek talash un aansuon  ki, jo bin bulaye tapakne lagte hai,
Ek talash us chote se bache ki, jo ander dubak kar baitha hai,
Ek talash un hasraton ki, jo dam todna chahte hai,
Ek talash un khwahishon ki, jo nirashaon ke badal me chupe hai,
Ek talash un rishton ki, jinke sath ek dor si bandhi hai,
Ek talash us dost ki, jo dosto ki bhid me kahi kho gaya hai,
Ek talash us sathi ki, jo mujhe mujhse jada samjhe,
Ek talash us khas ki, jo mujhe mujhse mera taruf karwaye……!
Bas itni si talash hai apni…….!


In sab talasho se banta hu main, “Main”!!
Isi main ke sawal ka jawab talshta hu main,
Phir wahi “main”! ,
Main me phasa main, aur main me phase mere sawal,
Chahta hu ki koi mujhe mere ‘main’ ko mujhse milva de, bas..!!